piya karte hain chhup kar shaiKH ji rozana rozana
chale aate hain aadhi raat ko mai-KHana rozana
mohabbat jaan bhi deti hai tarsati bhi hai yaro
kabhi paimana barson mein kabhi paimana rozana
pareshan hun kanwal jaisi ye aankhen chum lene do
ki in phulon pe manDlayega ye bhaunra na rozana
sharabon ko na jaane log kyun badnam karte hain
ki main to mar gaya hota agar pita na rozana
kabhi chilman uTha kar dekh to lo baat mat karna
ki dil thame hue aata hai ek diwana rozana
kisi din bazm-e-saqi se nikale jaoge 'qaisar'
nibhaoge kahan tak ThaTh ye shahana rozana
Ghazal
Piya karte hain chhup kar shaiKH ji rozana rozana
Qaisar-ul-Jafri

