pise hain dil ziyaada-tar hina se
chala do gam bhi jab wo ada se
wo but aae idhar bhi bhul kar rah
dua ye mangta hun main KHuda se
hijab us ka hua shab mane-e-did
naqab ulTi na chehre ki haya se
ishaara KHanjar-e-abru ka bas tha
mujhe mara abas tegh-e-jafa se
bahut bal kha rahi hai zulf-e-jaanan
bachegi jaan kyun kar is bala se
hai behtar ek karishme mein hon do kaam
madine jaun rah-e-karbala se
KHuda jab be-talab bar lae maqsad
uThaun kyun na hath apne dua se
'nizam' ab uqda-e-dil kyun na hal hon
mohabbat hai tujhe mushkil-kusha se
Ghazal
Pise hain dil ziyaada-tar hina se
Mardan Ali Khan Rana