pila saqiya mai-KHunuk aab mein
ki thamti nahin tauba mahtab mein
gaya din kaisa huzur-e-namaz
wo yaad aae abru jo mehrab mein
mile kuchh to zaKHm-e-jigar ka maza
bujha kar rakha tegh zahrab mein
ilahi falak jis se phaT jae de
wo tasir aah-e-jigar-tab mein
buland aashiyanon pe bijli giri
jo niche the Dube wo sailab mein
wo uryan mein sarma mein thi jin ki shab
guzarti samor aur sanjab mein
na aae hon aazurda lena KHabar
paDi dhum ye sare punjab mein
Ghazal
Pila saqiya mai-KHunuk aab mein
Mufti Sadruddin Aazurda