piri se mera nau digar-haal hua hai
wo qad jo alif sa tha so ab dal hua hai
maqbul mere qaul se qawwal hua hai
sufi ko ghazal sun ke meri haal hua hai
un hathon ki daulat se kaDa mal hua hai
un panw se aawaz-e-KHalKHal hua hai
alminnat o lillah ba-sad-minnat udhar se
inkar tha jis shai ka ab iqbaal hua hai
jab qatl kiya hai kisi aashiq ko to wan se
jallad ki talwar ko rumal hua hai
kis uqde ko is zulf ki khola nahin hum ne
suljhaya hai uljha hua jo baal hua hai
kis sar ko nahin yar ki raftar ka sauda
mearaj wo samjha hai jo pamal hua hai
bimar raha barson main isa-nafason mein
puchha na kisi ne kabhi kya haal hua hai
ai abr-e-karam tu hi safed us ko karega
barson mein siyah nama-e-amal hua hai
jo naz kare yar saza-war hai 'atish'
KHush-ru o KHush-uslub o KHush-iqbaal hua hai
Ghazal
Piri se mera nau digar-haal hua hai
Haidar Ali Aatish