pir-e-mughan ko qibla-e-hajat kah gaya
main bhi hansi hansi mein baDi baat kah gaya
tarik raste ka musafir nahin hai wo
jo tere gesuon ko siyah raat kah gaya
qasid ne us ki baat banai na ho kahin
kis be-takallufi se jawabaat kah gaya
phulon ne hans ke Tal diya waqt par hamein
kanTa magar bahaar ke haalat kah gaya
main, chunki maslahat ke taqaze ajib hain
us ki jafa ko gardish-e-afat kah gaya
ye lijiye janab ki bazi palaT gai
jo haarta raha hai wahi mat kah gaya
na guftani likhi hai 'muzaffar' ne umr bhar
jo kuchh zaban kah na saki hat kah gaya

Ghazal
Pir-e-mughan ko qibla-e-hajat kah gaya
Muzaffar Hanfi