pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart
aao uTha den aaj mai-e-jaan-faza ki shart
shoridgi-e-sar ke liye sang-e-dar ki qaid
zanjir-e-gham ke waste zulf-e-dota ki shart
ho dopahar ki dhup to palkon ke saeban
raaten guzarni hon to kali bala ki shart
ye kya zarur ho mizha-e-ishq KHun-fishan
kyun dast-e-naz ke liye rang-e-hina ki shart
har dil-figar ke liye kyun chaak-e-pairahan
har dil-nawaz ke liye band-e-qaba ki shart
kya farz hai ki hum bhi banen qais-e-amiri
rah-e-junun mein kyun ho kisi naqsh-e-pa ki shart
kyun dil ke toDne ko kahen rasm-e-dilbari
kyun ho kisi se wada-e-sabr-azma ki shart
kyun ho kisi ko kucha-e-qatil ki justuju
kyun imtihan ke waste tegh-e-jafa ki shart
kyun zindagi ko jabr-e-musalsal ka nam den
kyun aarzu-e-maut ko dast-e-dua ki shart
kyun har ghaDi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr
kyun har amal ki fikr mein KHauf-e-KHuda ki shart
hum ne KHud apne-ap zamane ki sair ki
hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart
Ghazal
Pina nahin haram, hai zahr-e-wafa ki shart
Khalilur Rahman Azmi