pi raha hai zindagi ki dhup kitne pyar se
dur jo baiTha hua hai saya-e-diwar se
gosha-e-dil ki KHamoshi ghar mein bhi milti nahin
ghar ke hangame bhi kam hote nahin bazar se
sochte kya ho mere ghar mein diya koi nahin
raushni to aa rahi hai rauzan-e-diwar se
zindagi ke har qadam mein waqt ki raftar hai
zindagi ko napna kya waqt kya raftar se
manzil-e-shahr-e-tamanna shayad ab nazdik hai
kyun nazar aane lage hain raste dushwar se
kis qadar KHuddar the do panw ke chhaale na puchh
koi sargoshi na ki zanjir ki jhankar se
dukh mein jab 'shabnam' use dekha to andaza hua
phul ki patti bhi kam hoti nahin talwar se
Ghazal
Pi raha hai zindagi ki dhup kitne pyar se
Shabnam Naqvi