اردو हिंदी
Pi li to kuchh pata na chala wo surur tha | Shaahi Shayari
pi li to kuchh pata na chala wo surur tha

Ghazal

Pi li to kuchh pata na chala wo surur tha

Muneer Niyazi

;

pi li to kuchh pata na chala wo surur tha
wo us ka saya tha ki wahi rashk-e-hur tha

kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya
mujh se bichhaD ke wo bhi bahut gham se chur tha

roya tha kaun kaun mujhe kuchh KHabar nahin
main us ghaDi watan se kai mil dur tha

sham-e-firaq aai to dil Dubne laga
hum ko bhi apne aap pe kitna ghurur tha

chehra tha ya sada thi kisi bhuli yaad ki
aankhen thin us ki yaro ki dariya-e-nur tha

nikla jo chand aai mahak tez si 'munir'
mere siwa bhi bagh mein koi zarur tha