pi le jo lahu dil ka wo ishq ki masti hai
kya mast hai ye nagan apne hi ko Dasti hai
mai-KHane ke sae mein rahne de mujhe saqi
mai-KHane ke bahar to ek aag barasti hai
ai zulf-e-gham-e-jaanan tu chhanw ghani kar de
rah rah ke jagata hai shayad gham-e-hasti hai
Dhalte hain yahan shishe chalte hain yahan patthar
diwano Thahar jao sahra nahin basti hai
jin phulon ke jhurmuT mein rahte the 'shamim' ek din
un phulon ki KHushbu ko ab ruh tarasti hai

Ghazal
Pi le jo lahu dil ka wo ishq ki masti hai
Shamim Karhani