اردو हिंदी
Pi ke kar leta hun tauba jab se ye dastur hai | Shaahi Shayari
pi ke kar leta hun tauba jab se ye dastur hai

Ghazal

Pi ke kar leta hun tauba jab se ye dastur hai

Rasa Rampuri

;

pi ke kar leta hun tauba jab se ye dastur hai
dil bhi raushan hai mera munh par bhi mere nur hai

aah karta hun to barham ke liye hote ho tum
dard-mandan-e-mohabbat ka yahi dastur hai

ghair se milne ke shikwe par qayamat Dha gaya
un ka ye kahna ki dil se aadmi majbur hai

main sawal-e-wasl kar ke us ada par miT gaya
hans ke farmaya ki ye darKHwast na-manzur hai

hashr mein allah se fariyaad un ke zulm ki
ai 'rasa' ye baat to shart-e-wafa se dur hai