pi kar chain agar aaya bhi kitni der ko aaega
nashsha ek aawara panchhi chahkega uD jaega
manzar ki takmil na hogi tanha mujh se fankaro
dukh ke git to main ga dunga aansu kaun bahaega
ek saKHi ko apna samajh kar arz-e-haal ki Thani hai
bairi dil kahta hai pagle kasa bhi chhin jaega
mera samundar-par safar par jaana ek qayamat hai
jaise har chehre pe likha ho mere liye kya laega
jate jate puchh raha hai amn ke rakhwalon se 'hafiz'
kyun ji kya hum logon se meraTh KHali ho jaega
Ghazal
Pi kar chain agar aaya bhi kitni der ko aaega
Hafeez Merathi