pi kar bhi tabiat mein talKHi hai girani hai
is daur ke shishon mein sahba hai ki pani hai
ai husn tujhe itna kyun naz-e-jawani hai
ye gul-badani teri ek raat ki rani hai
is shahr ke qatil ko dekha to nahin lekin
maqtal se jhalakta hai qatil ki jawani hai
jalta tha jo ghar mera kuchh log ye kahte the
kya aag sunahri hai kya aanch suhani hai
is fan ki latafat ko le jaun kahan aaKHir
patthar ka zamana hai shishe ki jawani hai
kya tum se kahen kya hai aahang 'shamim' apna
sholon ki kahani hai shabnam ki zabani hai

Ghazal
Pi kar bhi tabiat mein talKHi hai girani hai
Shamim Karhani