pi hum ne bahut sharab tauba
ai garmi-e-aftab tauba
aalam ka ye inqalab tauba
zarre hue aaftab tauba
jis waqt tasalliyan koi de
us waqt ka iztirab tauba
aankhen jinhen dekh kar hon bimar
wo nargis-e-nim-KHwab tauba
kya mastana har ada hai
kis josh pe hai shabab tauba
kar dunga hazar main unhen band
baaton ka meri jawab tauba
har roz hi ek naya sitam hai
har waqt hai ek itab tauba
saqi tere daur mein kisi ki
hoti bhi hai mustajab tauba
aankhen shab-e-wasl bhi jhuki hain
KHalwat mein bhi ye hijab tauba
karta hai sharab mohtasib band
ye bhi hai koi sawab tauba
piri mein 'hafiz' mai-parasti
ab kijiye ai janab tauba
Ghazal
Pi humne bahut sharab tauba
Hafeez Jaunpuri