اردو हिंदी
Pi bhi ai maya-e-ashabab sharab | Shaahi Shayari
pi bhi ai maya-e-ashabab sharab

Ghazal

Pi bhi ai maya-e-ashabab sharab

Ghulam Maula Qalaq

;

pi bhi ai maya-e-ashabab sharab
garm-joshi se hai kabab sharab

maryami uD gai masiha ki
lab-e-nazuk pe hai sharab sharab

us se hum ja bhiDe adu ke ghar
hai paDi KHanuman-KHarab sharab

kyun ki mutlaq haram hi kahiye
pijiega mila ke aab sharab

bahr-e-har-zarf-e-imtihan saghar
har tamanna ka intiKHab sharab

baad-azin mohtasib qasam le le
tauba karta hun la shitab sharab

zaea auqat ko nahin karte
pite hain waqt-e-mahtab sharab

saKHt matam hai ai shabab tera
ki rulati hai KHun-e-nab sharab

mohtasib us ka KHun hai kis par
jo hai pita bajae aab sharab

mushaf-o-KHirqa bechte hain hum
ho gai jaan ko azab sharab

us ki baKHshish hai be-hisab agar
hum bhi pite hain be-hisab sharab

har ghaDi zikr-e-mai hai ai waiz
ho gai teri to kitab sharab

ai 'qalaq' mai-kade mein sajde kyun
kaun dega pa-e-sawab sharab