pichhli tariKH ka aKHbar sambhaale hue hain
unki taswir ko be-kar sambhaale hue hain
yar is umr mein ghunghru ki sadaen chunte
aap zanjir ki jhankar sambhaale hue hain
hum se hi laDta-jhagaDta hai ye buDha sa makan
hum hi girti hui diwar sambhaale hue hain
yar ab tak na mila chhor hamein duniya ka
roz-e-awwal hi se raftar sambhaale hue hain
jin ke pairon se nikale the kabhi KHar bahut
hain muKHalif wahi talwar sambhaale hue hain
log pal bhar mein hi ukta gae jis se 'kanha'
hum hi barson se wo kirdar sambhaale hue hain

Ghazal
Pichhli tariKH ka aKHbar sambhaale hue hain
Prakhar Malviya Kanha