اردو हिंदी
Pichhli raat ki narm chandni shabnam ki KHunki se racha hai | Shaahi Shayari
pichhli raat ki narm chandni shabnam ki KHunki se racha hai

Ghazal

Pichhli raat ki narm chandni shabnam ki KHunki se racha hai

Bashir Badr

;

pichhli raat ki narm chandni shabnam ki KHunki se racha hai
yun kahne ko us ka tabassum barq-sifat hai shoala-numa hai

waqt ko mah-o-sal ki zanjiron mein jakaD kar kya paya hai
waqt to mah-o-sal ki zanjiron mein aur bhi tez baDha hai

ek masum se pyar ka tohfa ghar ke aangan mein paya tha
us ko gham ke pagal-pan mein koThe koThe banT diya hai

aansu tare rang gulab sabhi pardes chale jate hain
aaKHir aaKHir tanhai hai kis ne kis ka sath diya hai

nazm ghazal afsana git ek tarah hi gham tha jis ko hum ne
kaisa kaisa nam diya hai kaise kaise banT liya hai

aahon ke baadal kyun dil mein bin barse hi lauT gae hain
ab ke baras sawan ka mahina kaisa pyasa pyasa gaya hai

phul si har taswir mein zehn ki diwaron se utar chuka hun
phir bhi dil mein kanTa sa kyun rah rah kar chubhta rahta hai

majburi thi sabr kiya hai panw ko toD ke baiTh rahe hain
nagri nagri dekh chuke hain dware dware jhank liya hai

mujh ko un sachchi baaton se apne jhuT bahut pyare hain
jin sachchi baaton se akasr insanon ka KHun baha hai

'badr' tumhaari fikr-e-suKHan par ek allama hans kar bole
wo laDka nau-umr parinda uncha uDna sikh raha hai