pichhle pahar ka sannaTa tha
tara tara jag raha tha
patthar ki diwar se lag kar
aaina tujhe dekh raha tha
baalon mein thi raat ki rani
mathe par din ka raja tha
ek ruKHsar pe zulf giri thi
ek ruKHsar pe chand khila tha
ThoDi ke jagmag shishe mein
honTon ka saya paDta tha
chandr kiran si ungli ungli
naKHun naKHun hira sa tha
ek panw mein phul si juti
ek panw sara nanga tha
tere aage shama dhari thi
shama ke aage ek saya tha
tere sae ki lahron ko
mera saya kaT raha tha
kale patthar ki siDhi par
nargis ka ek phul khila tha
Ghazal
Pichhle pahar ka sannaTa tha
Nasir Kazmi