phuTi bhali wo aankh jo aansu se tar nahin
kis kaam hai wo sip ki jis mein guhar nahin
munim hai kya ki jis se koi bahra-war nahin
kis kaam ka wo naKHl ki jis mein samar nahin
banda hun be-KHudi ka main us mast ki jise
aashob-e-roz-e-hashr se aslan KHabar nahin
ya-rab KHalish se aah ki ho jo na bahra-mand
jis dil ka takiya-gah sar-e-neshtar nahin
ai dil ba-rang-e-ghuncha na mil gul-ruKHon se tu
apni girah mein un ke khilane ko zar nahin
saqi hai shab ki dast-daraazi ka kya gila
pyare jo be-KHudi mein hua mo'tabar nahin
nalan na hun gali mein teri main to kya karun
murgh-e-chaman mein nala siwa kuchh hunar nahin
jon ashk ek laghzish-e-pa mein gae hain par
hasti se ta-ba-nisti chandan safar nahin
'qaem' jo is tarah tu phire hai KHarab-o-KHwar
ai KHanuman-KHarab magar tere ghar nahin
Ghazal
PhuTi bhali wo aankh jo aansu se tar nahin
Qayem Chandpuri