اردو हिंदी
PhuTe man se bol, laga ye zinda hun main | Shaahi Shayari
phuTe man se bol, laga ye zinda hun main

Ghazal

PhuTe man se bol, laga ye zinda hun main

Saurabh Shekhar

;

phuTe man se bol, laga ye zinda hun main
ab mujh ko ehsas hua ye zinda hun main

yaro mere nam pe rona band karo tum
dur haTao ab majma ye zinda hun main

aankhen mal mal kar dekha qatil ne mujh ko
sach nikla us ka KHadsha ye zinda hun main

main tasdiq karunga tere garm lahhu ki
tu bhi mujh ko yaad dila ye zinda hun main

mujh par meri zat udhaar hai lekin 'saurabh'
chukta kar dunga qarza ye, zinda hun main