phulon se hogi dhul juda dekhte raho
manzar nikhaar degi hawa dekhte raho
laegi rang laghzish-e-pa dekhte raho
manzil bhi degi apna pata dekhte raho
han bazm mein kisi ke gareban-e-gosh tak
pahunchega mera dast-e-sada dekhte raho
nindon mein kho ke sipiyan KHwabon ki dosto
chunne ko hai ye dida-e-wa dekhte raho
kab aaftab-e-taza ki pahli shua se
hoti hai chaak shab ki rida dekhte raho
us kaj-ada ki samt ba-in jaur-e-mustaqil
'asif' ba-tarz-e-ahl-e-wafa dekhte raho
Ghazal
Phulon se hogi dhul juda dekhte raho
Ejaz Asif