phulon se chhup saka hai kahin gulistan ka haal
hum jaante hain aaj hai jo is jahan ka haal
nazron mein dar-o-gir ka aalam hai aaj bhi
kis dil se hum bataen tumhein karwan ka haal
bijli ki zad mein aa gaya fasl-e-bahaar mein
al-muKHtasar yahi hai mere aashiyan ka haal
naqsha kisi ki bazm ka aankhon mein phir gaya
waiz ne aaj chheDa jo bagh-e-jinan ka haal
hai fikr gul ki is ko na kaliyon ka kuchh KHayal
hum kya bataen aaj jo hai baghban ka haal
be-baal-o-par paDa hun qafas mein chaman se dur
kuchh to batao mujh ko mere gulistan ka haal
mere hi gulistan ki nahin baat ai 'umid'
hai ek hi sa aaj to sare jahan ka haal
Ghazal
Phulon se chhup saka hai kahin gulistan ka haal
Raghunath Sahai