phulon mein ek rang hai aaankhon ke nir ka
manzar tamam-tar hai ye fasl-e-zamir ka
rishta wo kya hua meri aaankhon se nir ka
muddat hui hai hadsa dekhe zamir ka
pani utar gaya to zamin sanglaKH thi
tikha sa har sawal tha ranjhe se hir ka
teri azan ke sath main uThta hun pau phaTe
sar mein liye hue koi sajda asir ka
dekha na doston ne imarat ke us taraf
puchha kabhi na haal kisi ne faqir ka
aaina gir paDa tha mere hath se kabhi
phir yaad hadsa nahin koi zamir ka
sahra-e-jism ruh ke andar utar gaya
ab kya dikhae moajaza insan zamir ka
aansu ki ek bund ko aankhen taras gain
is dhup mein jhulas gaya doha kabir ka
aadha falak ke pas tha aadha zamin par
main na-tamam KHwab tha badar-e-munir ka
pakke huruf gard ki surat bikhar gae
sine mein ghaw rah gaya kachchi lakir ka
hoti rahengi barishen 'ahmad' visal ki
KHali rahega jam hamesha faqir ka
Ghazal
Phulon mein ek rang hai aaankhon ke nir ka
Ahmad Shanas