phulon ko chhune se nashtar zaKHmi hoga
ab ke sar mein lag kar patthar zaKHmi hoga
kafi din ke baad safar se lauTa hun main
jism thakan se chur hai bistar zaKHmi hoga
mausam ke chehre ki shiknen kahti hain
aanhken hongi ya phir manzar zaKHmi hoga
maujen dariya ke sine par kya likhti hain
socha to main andar andar zaKHmi hoga
barg-e-gul par suraj ke neze mat rakkho
bholi-bhaali titli ka par zaKHmi hoga
aaankhon ki basti mein jab bazar sajega
kachche sapnon ka saudagar zaKHmi hoga
main hathon mein KHanjar le kar soch raha hun
lauTunga to mera bhi ghar zaKHmi hoga
Ghazal
Phulon ko chhune se nashtar zaKHmi hoga
Javed Akram Farooqi