phulon ko apne panw se Thukrae jate hain
mal kar wo itr bagh mein itrae jate hain
ai dil qarar sabr hai lazim firaq mein
betabiyon se kya wo teri aae jate hain
aae hain din bahaar ke sayyaad kah raha
tair qafas mein bagh ke ghabrae jate hain
chuhlon se chheD-chhaD se waqif nahin hain wo
kya gudgudaiye ki wo sharmae jate hain
tar sharm ke pasine se aise hue hain raat
malbus-e-KHas dhup mein sukhlae jate hain
nazuk kamar wo aise hain waqt-e-KHiram-e-naz
zulfen jo kholte hain to bal khae jate hain
shukr-e-KHuda-e-pak hai ai 'nadir'-e-hazin
ummat mein hum rasul ki kahlae jate hain
Ghazal
Phulon ko apne panw se Thukrae jate hain
Nadir Lakhnavi