phulne-phalne lage hain sahab-e-zar aur bhi
tang ho jaegi dharti muflison par aur bhi
ye zamin zarKHez hogi KHun pi kar aur bhi
khetiyan ugla karengi lal-o-gauhar aur bhi
har zamane mein subut-e-ishq manga jaega
lal maon ke chaDhenge suliyon par aur bhi
phulte-phalte hain jazbe dard ke mahaul mein
zaKHm khaen to nikharte hain suKHan-war aur bhi
aaftab ubhra hai jis din se nai tahzib ka
ho gaya tarik insan ka muqaddar aur bhi
jab chali tahrik tamir-e-watan ki dosto
ho gae barbaad kuchh baste hue ghar aur bhi
jis qadar bahar ki raunaq mein magan hota gaya
baDh gai be-raunaqi insan ke andar aur bhi
main banata ja raha hun aur bhi kuchh aaine
waqt barsata chala jata hai patthar aur bhi
bastiyon par hadson ki chand-mari ke liye
baDh rahe hain auj ki jaanib sitamgar aur bhi
munfarid ustad 'danish' bhi hain ghaalib ki tarah
yun to duniya mein hain 'naz' achchhe suKHan-war aur bhi
Ghazal
Phulne-phalne lage hain sahab-e-zar aur bhi
Naz Naz Khialvi