اردو हिंदी
Phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai | Shaahi Shayari
phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai

Ghazal

Phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai

Abdul Aziz Khalid

;

phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai
hai dil mein wo gham jis ka koi nam nahin hai

kis ko nahin kotahi-e-qismat ki shikayat
kis ko gila-e-gardish-e-ayyam nahin hai

aflak ke sae tale aisa bhi hai koi
jo said-e-zabun maya-e-alam nahin hai

chhilkon ke hain ambar magar maghz nadarat
duniya mein musalman to hain islam nahin hai

iman nahin momin ka mukafat-e-amal par
ummid-e-karam kya tama-e-KHam nahin hai

masjid ho KHarabaat ho ya ku-e-butan ho
is qalb-e-tapan ko kahin aaram nahin hai

ai mah-wisho lala-ruKHo wasl ki hum ko
KHwahish to hai be-shak magar ibram nahin hai

kaifi hain mai-e-nab-e-KHum-e-mehr-shuda ke
hum ko talab-e-durd-e-tah-e-jam nahin hai

lafzon ke dar-o-bast pe har-chand ho qadir
shaer nahin jo sahab-e-ilham nahin hai

har baat hai 'KHalid' mein pasandida o matbu
ek pairwi-e-rasm-o-rah-e-am nahin hai