phula-phala shajar to samar par bhi aaega
lekin isi lihaz se patthar bhi aaega
haalat jab bhi shahr ke filmae jaenge
parde pe mere qatl ka manzar bhi aaega
be-chehra phir raha hun magar is yaqin ke sath
aaina mere qad ke barabar bhi aaega
kab tak koi chhupega adawat ke ghaar mein
dushman kabhi to samne khul kar bhi aaega
be-wajh ranjishon se dilon ko bachaiye
zehnon ka bhed-bhaw labon par bhi aaega
behtar hai dosto ki yahin Dal do paDaw
aage baDhe to shahr-e-sitamgar bhi aaega
ubhrenge pastiyon se bhi ek roz hum 'zafar'
unchaiyon pe apna muqaddar bhi aaega
Ghazal
Phula-phala shajar to samar par bhi aaega
Zafar Kaleem