phul the rang the lamhon ki sabahat hum the
aise zinda the ki jine ki alamat hum the
sab KHirad-mand bane phirte the masha-allah
bas tere shahr mein ek sahib-e-wahshat hum the
nam baKHsha hai tujhe kis ke wufur-e-gham ne
gar koi tha to tere mujrim-e-shohrat hum the
ab to KHud apni zarurat bhi nahin hai hum ko
wo bhi din the ki kabhi teri zarurat hum the
dhup ke dasht mein kitna wo hamein DhunDta tha
'e'tibar' us ke liye abr ki surat hum the
Ghazal
Phul the rang the lamhon ki sabahat hum the
Aitbar Sajid