phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil mein lekin aur hi ek shakl ki hasrat bhi thi
jo hawa mein ghar banae kash koi dekhta
dasht mein rahte the par tamir ki aadat bhi thi
kah gaya main samne us ke jo dil ka muddaa
kuchh to mausam bhi ajab tha kuchh meri himmat bhi thi
ajnabi shahron mein rahte umr sari kaT gai
go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi
kya qayamat hai 'munir' ab yaad bhi aate nahin
wo purane aashna jin se hamein ulfat bhi thi
Ghazal
Phul the baadal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
Muneer Niyazi