phul soe hue the chhati par
raat kitna mahak raha tha ghar
ashk sairab hain lahu pi kar
aur pyasa hai bhai ka KHanjar
piTh kanTon se ho gai chhalni
hausla tha uTha diya bistar
dil-ruba nam hai kahani ka
KHun chashida hai ek ek manzar
munh andhere hi jagna hai tujhe
mere zaKHmon pe apne kan na dhar

Ghazal
Phul soe hue the chhati par
Rashid Imkan