اردو हिंदी
Phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge | Shaahi Shayari
phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge

Ghazal

Phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge

Wali Aasi

;

phul se masum bachchon ki zaban ho jaenge
miT bhi jaenge to hum ek dastan ho jaenge

main ne tere sath jo lamhe guzare the kabhi
aane wale mausamon mein titliyan ho jaenge

kya KHabar kis samt ye pagal hawa le jaegi
jab purane kashtiyon ke baadban ho jaenge

yaad aaegi unhen kya kya hamari be-hisi
jab hamare ahd ke bachche jawan ho jaenge

mere naghme meri KHatir kuchh bhi hon 'wali' magar
aag barsati ruton mein badliyan ho jaenge