phul se logon ko miTTi mein mila kar aaegi
chal rahi hai jo hawa sab kuchh fana kar jaegi
zindagi guzregi mujh ko raund kar pairon tale
maut lekin mujh ko sine se laga kar jaegi
wo kisi ki yaad mein jalti hui sham-e-firaq
KHud bhi pighlegi meri aankhon ko bhi pighlaegi
aane wale mausamon ki sar-phiri pagal hua
ek din teri judai ke tarane gaegi
aane wala waqt bhi roega mere waste
aane wale mausamon ko yaad meri aaegi
ai mere sathi ye tere chhoD jaane ki kasak
mujh ko dimak ki tarah andar hi andar khaegi
ye husul-e-zar ki KHwahish ek lanat ki tarah
aaKHir ek din tujh ko apnon se juda kar jaegi
zindagi ek bad-chalan aawara laDki hai 'sarosh'
dekh lena ek din ye bhi tujhe Thukraegi
Ghazal
Phul se logon ko miTTi mein mila kar aaegi
Shakeel Sarosh