اردو हिंदी
Phul pe dhul babul pe shabnam dekhne wale dekhta ja | Shaahi Shayari
phul pe dhul babul pe shabnam dekhne wale dekhta ja

Ghazal

Phul pe dhul babul pe shabnam dekhne wale dekhta ja

Qateel Shifai

;

phul pe dhul babul pe shabnam dekhne wale dekhta ja
ab hai yahi insaf ka aalam dekhne wale dekhta ja

parwanon ki rakh uDa di baad-e-sahar ke jhonkon ne
shama bani hai paikar-e-matam dekhne wale dekhta ja

jam-ba-jam lagi hain mohren mai-KHanon par pahre hain
roti hai barsat chhama-chham dekhne wale dekhta ja

is nagri ke raj-dulare ek tarah kab rahte hain
Dhalte sae badalte mausam dekhne wale dekhta ja

maslahaton ki dhul jami hai ukhDe ukhDe qadmon par
jhijak jhijak kar uDte parcham dekhne wale dekhta ja

ek purana madfan jis mein dafn hain lakhon ummiden
chhalni chhalni sina-e-adam dekhne wale dekhta ja

ek tera hi dil nahin ghayal dard ke mare aur bhi hain
kuchh apna kuchh duniya ka gham dekhne wale dekhta ja

kam-nazron ki is duniya mein der bhi hai andher bhi hai
pathraya har dida-e-pur-nam dekhne wale dekhta ja