اردو हिंदी
Phul murjha jaenge kanTe lage rah jaenge | Shaahi Shayari
phul murjha jaenge kanTe lage rah jaenge

Ghazal

Phul murjha jaenge kanTe lage rah jaenge

Tasneem Abidi

;

phul murjha jaenge kanTe lage rah jaenge
har KHushi miT jaegi bas dukh hare rah jaenge

lala-zaron kohsaron mein tumhein DhunDenge hum
yaad ke be-nam se kuchh silsile rah jaenge

tum qarib ho kar bhi itni dur hote jate ho
qurbaton ke darmiyan bas fasle rah jaenge

tasfiya mabain apne ho na paega kabhi
hum ana ki aag mein jalte hue rah jaenge

azm ki shamen umidon ki har ek qindil ko
hum bujha kar zulmat-e-shab mein khaDe rah jaenge

surma-o-ghaza ke badle dhul jamti jaegi
sab ke chehre gard-e-qismat se aTe rah jaenge

sab chale jaenge ek be-nam manzil ki taraf
ghar ki taKHti ki jagah katbe lage rah jaenge