phul mahkae the main ne shadmani ke liye
har nafs ab mar rahi hon zindagani ke liye
kis tarah kaliyan khilen aur kis tarah mahken gulab
tang ho jae zamin jab baghbani ke liye
sabr ki had se guzar jati hai sahraon ki pyas
KHushk ho jata hai jab dariya hi pani ke liye
us ki chahat us ki qurbat us ki baaten us ki yaad
kitne unwan mil gae hain ek kahani ke liye
us liye hum ko nahin baKHsha gaya koi makan
kyunki hum paida hue the be-makani ke liye
talKHiyon se waqt ki jo ho gae nashtar-sifat
lab the wo mashhur apni KHush-bayani ke liye
waqt ke jalte hue suraj ki tapti dhup mein
is ki yaadon ke shajar hain saebani ke liye
shairi ki barishon mein bhige bhige tere lab
rab ka hai inam 'mina' be-zabani ke liye
Ghazal
Phul mahkae the maine shadmani ke liye
Meena Naqvi