phul ko KHar likhen KHar ko shabnam likkhen
zaKHm gahra ho to aasuda-e-marham likkhen
narm alfaz hi tahrir ke shainda hain
ye munasib hai ki kaghaz ko bhi resham likkhen
ek ek harf se KHushbu-e-bahaaran jage
sade kaghaz pe kabhi phul agar hum likkhen
gham ko rangin bana denge mohabbat ke KHutut
aap kuchh hum ko likhen aap ko kuchh hum likkhen
husn-e-ijmal mein tafsir ke pahlu hain bahut
kuchh ziyaada bhi agar likhna ho to kam likhen

Ghazal
Phul ko Khaar likhen Khaar ko shabnam likkhen
Mutrib Nizami