اردو हिंदी
Phul ki rangat maine dekhi dard ki rangat dekhe kaun | Shaahi Shayari
phul ki rangat maine dekhi dard ki rangat dekhe kaun

Ghazal

Phul ki rangat maine dekhi dard ki rangat dekhe kaun

Ahmad Zafar

;

phul ki rangat main ne dekhi dard ki rangat dekhe kaun
pyar ka git suna hai sab ne dhun thi kaisi soche kaun

dhup ne tan-man phunk diya to sae mein aa baiTha tha
shaKH shaKH mein aag chhupi hai peD ke niche baiThe kaun

apne dard ko gard samajh kar manzil manzil chhoD diya
aaine par dhul jami hai aaine mein dekhe kaun

ang ang se rang rang ke phul baraste dekhe kaun
rang rang se shole barse kaise barse soche kaun

fan tartib ka zewar le kar gulshan gulshan ubhra hai
be-tartibi husn hai jis ka us fankar se uljhe kaun

mere coat ka maila collar aur numayan hota hai
pagal saj-dhaj rakhne wale tere samne baiThe kaun