phul KHushbu se juda hai ab ke
yaro ye kaisi hawa hai ab ke
dost bichhDe hain kai bar magar
ye naya dagh khula hai ab ke
pattiyan roti hain sar piTti hain
qatl-e-gul aam hua hai ab ke
shafaqi ho gai diwar-e-KHayal
kis qadar KHun baha hai ab ke
manzar-e-zaKHm-e-wafa kis ko dikhaen
shahr mein qaht-e-wafa hai ab ke
wo to phir ghair the lekin yaro
kaam apnon se paDa hai ab ke
kya sunen shor-e-bahaaran 'nasir'
hum ne kuchh aur suna hai ab ke
Ghazal
Phul KHushbu se juda hai ab ke
Nasir Kazmi