phul khilte hain talab mein tara hota
koi manzar to meri aankh mein pyara hota
hum palaT aae masafat ko mukammal kar ke
aur bhi chalte agar sath tumhaara hota
hum mohabbat ko samundar ki tarah jaante hain
kud hi jate agar koi kinara hota
ek nakaam mohabbat hi hamein kafi hai
hum dobara bhi agar karte KHasara hota
kitni lahren hamein sine se lagane aatin
koi kankar hi agar jhil mein mara hota
Ghazal
Phul khilte hain talab mein tara hota
Ramzi Asim