اردو हिंदी
Phul ka ya sang ka izhaar kar | Shaahi Shayari
phul ka ya sang ka izhaar kar

Ghazal

Phul ka ya sang ka izhaar kar

Abul Hasanat Haqqi

;

phul ka ya sang ka izhaar kar
aasman aurang ka izhaar kar

jism ke rauzan se pahle KHud nikal
phir qaba-e-tang ka izhaar kar

phul ki patti pe koi zaKHm Dal
aaine mein rang ka izhaar kar

aabginon mein siyahi bhar ke chal
dosti mein jang ka izhaar kar

dhul se anfas ke paikar tarash
KHushbuon mein rang ka izhaar kar

paDh raha tha main qasida nam ka
koi bola nang ka izhaar kar

kaun kitna aadmi hai ye bata
aah mein aahang ka izhaar kar