phul ka shaKH pe aana bhi bura lagta hai
tu nahin hai to zamana bhi bura lagta hai
ub jata hun KHamoshi se bhi kuchh der ke baad
der tak shor machana bhi bura lagta hai
itna khoya hua rahta hun KHayalon mein tere
pas mere tera aana bhi bura lagta hai
zaiqa jism ka aankhon mein simaT aaya hai
ab tujhe hath lagana bhi bura lagta hai
main ne rote hue dekha hai ali baba ko
baz auqat KHazana bhi bura lagta hai
ab bichhaD ja ki bahut der se hum sath mein hain
peT bhar jae to khana bhi bura lagta hai
Ghazal
Phul ka shaKH pe aana bhi bura lagta hai
Shakeel Azmi

