اردو हिंदी
Phul ka khilna bahut dushwar hai | Shaahi Shayari
phul ka khilna bahut dushwar hai

Ghazal

Phul ka khilna bahut dushwar hai

Zuhair Kanjahi

;

phul ka khilna bahut dushwar hai
mausam-e-gul aaj-kal bimar hai

be-wasila baat ban sakti nahin
mil gai kashti to dariya par hai

aansuon ka aur matlab kuchh nahin
muKHtasar si surat-e-izhaar hai

dosti ka raaz ifsha kar gai
dushmani bhi ek baDa kirdar hai

hum safine ke liye ek bojh hain
hum agar Dube to beDa par hai

zindagi ki razm-gahon mein 'zuhair'
sarfaroshi aaKHiri tyauhaar hai