phul jaisi hai kabhi ye KHar ki manind hai
zindagi sahra kabhi gulzar ki manind hai
tum qalam ki dhaar ko kam mat samajhna dosto
ye qalam to hai magar talwar ki manind hai
chaar din ke waste sab ko mili hai dahr mein
zindagi bhi ret ki diwar ki manind hai
pas paisa hai nahin phir bhi jahan mein mast hun
zindagi apni kisi fankar ki manind hai
zindagi kis waqt dhoka de de 'ambar' kya pata
ye bhi lagta hai kisi ghaddar ki manind hai
Ghazal
Phul jaisi hai kabhi ye Khaar ki manind hai
Amber Joshi