اردو हिंदी
Phul ho kar phul ko kya chahna | Shaahi Shayari
phul ho kar phul ko kya chahna

Ghazal

Phul ho kar phul ko kya chahna

Hakeem Manzoor

;

phul ho kar phul ko kya chahna
jab ye be-angan tha jab tha chahna

zaKHm sare hi hain apne jism-zad
kis sabab un ka tamasha chahna

phir se ho tajdid-e-KHushbu sochiye
chahna aur wo bhi apna chahna

ek mushkil raazdari chahiye
ek mushkil chahaton ka chahna

dast-giri ai nam aankhon wali subh
chahna kya chahna kya chahna

chand ki aayat samundar par paDho
chahna us ko to aisa chahna

hasb-za 'manzur' mera nam hai
kaam mera sab ka achchha chahna