phone to dur wahan KHat bhi nahin pahunchenge
ab ke ye log tumhein aisi jagah bhejenge
zindagi dekh chuke tujh ko baDe parde par
aaj ke baad koi film nahin dekhenge
masala ye hai main dushman ke qarin pahunchunga
aur kabutar meri talwar pe aa baiThenge
hum ko ek bar kinaron se nikal jaane do
phir to sailab ke pani ki tarah phailenge
tu wo dariya hai agar jaldi nahin ki tu ne
KHud samundar tujhe milne ke liye aaenge
segha-e-raaz mein rakkhenge nahin ishq tera
hum tere nam se KHushbu ki dukan kholenge
Ghazal
Phone to dur wahan KHat bhi nahin pahunchenge
Ziya Mazkoor