phirta hun main ghaTi ghaTi sahra sahra tanha tanha
baadal ka aawara TukDa khoya khoya tanha tanha
pachchhim des ke farzanon ne nisf jahan se shahr basae
in mein pir buzurg arastu baiTha rahta tanha tanha
kitna bhiD-bhaDakka jag mein kitna shor-sharaba lekin
basti basti kucha kucha chappa chappa tanha tanha
sair karo baatin mein us ke kaisa kaisa kumbh laga hai
tak raha hai dur ufuq ko jo bechaara tanha tanha
sair tamasha rukne wale sayyaho ye bhi socha hai
ghaDiyan ghar ko Dhaalne wala KHud hai kitna tanha tanha
koi na us ka mal KHaride koi na us ki jaanib dekhe
ab banjara ghum raha hai qarya qarya tanha tanha
dhum machi hai chhuT rahe hain shahr mein rangon ke fawware
bich mein ek qasbaati laDka sahma sahma tanha tanha
dharti aur ambar par donon kya ranai banT rahe the
phul khila tha tanha tanha chand uga tha tanha tanha
Ghazal
Phirta hun main ghaTi ghaTi sahra sahra tanha tanha
Gyan Chand