اردو हिंदी
Phira kisi ka ilahi kisi se yar na ho | Shaahi Shayari
phira kisi ka ilahi kisi se yar na ho

Ghazal

Phira kisi ka ilahi kisi se yar na ho

Aish Dehlvi

;

phira kisi ka ilahi kisi se yar na ho
koi jahan mein bargashta-e-rozgar na ho

hum us ki chashm-e-siyah-mast ke hain mastane
ye wo nashe hain ki jis ka kabhi utar na ho

jahan mein koi kahta nahin KHuda-lagti
wo kya kare jise dil par bhi iKHtiyar na ho

na phaDe daman-e-sahra ko kyun ki dast-e-junun
raha jab apne gareban mein ek tar na ho

na khel jaan par apni tu ai dil-e-nadan
KHuda ko yaad kar itna tu be-qarar na ho

na bhul zohd pe lazzat se baKHshish-e-haq ki
wo be-nasib hai jab tak gunahgar na ho

tumhaare sar ki qasam kha ke dard dil ka kahun
jo mere likhne ka yun tum ko e'tibar na ho

janab-e-shaiKH ji sahib main ek arz karun
agar mizaj-e-muqaddas pe nagawar na ho

janab rindon se milte to hain pe Dar hai mujhe
ki dushmanon ka kisi din wahan achaar na ho

bahut hai KHema-e-gardun ke phunkne ko to 'aish'
is aah-e-tufta jigar mein asar hazar na ho