phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujh ko
ek zara qaid se bahar to nikalo mujh ko
is haqiqat ki bhi aamad ho mere hujre mein
chhoD ke jao kabhi KHwabo KHayalo mujh ko
jism ko dard mein hansne ka hunar aata hai
iltija ye hai ki patthar mein na Dhaalo mujh ko
main ne pabandi laga di hai zaban par warna
muddaa chiKH raha hai ki uchhaalo mujh ko
tab talak kuza-garo KHwab hai tabir meri
jab talak puri tarah toD na Dalo mujh ko
mawara hun main har ek lafz-e-suKHan se jo mujhe
tum ko paDhna hai to phir soch mein Dhaalo mujh ko
lo main karta hun meri KHak tumhaare hi sipurd
jaisi darkar ho waisa hi bana lo mujh ko
pahle malbe ko mere saf karo upar se
phir meri KHak ke niche se nikalo mujh ko
aankhen neze pe Tike dekh ke apni 'nayab'
bol uThe KHwab bhi ab to ki na palo mujh ko
Ghazal
Phir ye mumkin hi nahin hai ki sambhaalo mujhko
Nitin Nayab