phir ye kaisa udheD-bun sa laga
jaan-e-gham-dida ko jo ghan sa laga
us gali mein jo main uTha gahe
pa-e-KHwabida mujh ko sun sa laga
us ne jis waqt aur sar khencha
naKHl-e-qad us ka sarw-bun sa laga
us ke chhalle ke hain jo gul khae
dagh har ek badan pe hun sa laga
aaKHir-e-umr apni nazron mein
jama-e-zindagi kuhan sa laga
kashti-e-chashm-e-tar khinchi hai udhar
hai jidhar tar-e-ashk gun sa laga
yar-e-dharmatma ka pyar ke sath
bosa dena bhi mujh ko pun sa laga
jab dil-soKHta pe zaKHm-e-mizha
nazar aaya wo saf pun sa laga
main suna 'mushafi' ko piri mein
mujh ko KHele wo KHush-suKHan sa laga
Ghazal
Phir ye kaisa udheD-bun sa laga
Mushafi Ghulam Hamdani