phir ye hua ki log darichon se haT gae
lekin wo gard thi ki dar-o-baam aT gae
kuchh log jhankne lage diwar-e-shahr se
kuchh log apne KHun ke andar simaT gae
wo peD to nahin tha ki apni jagah rahe
hum shaKH to nahin the magar phir bhi kaT gae
pur-haul jangalon mein hawa chiKHti phiri
wapas gharon ko kyun na musafir palaT gae
itne to raste mein bhi sae nahin mile
jitne ki log aae aur aa kar palaT gae
miTTi ke in charaghon ki himmat to dekhiye
jo jate jate shab ki safon ko ulaT gae
jab hum se apni zat ka patthar na uTh saka
'aKHtar' hum aaine ke muqabil hi DaT gae
Ghazal
Phir ye hua ki log darichon se haT gae
Akhtar Hoshiyarpuri